Tuesday, April 21, 2009

Darare darare hain maathe pe maula..Marammad mukaddar ki kar do maula


Arziyan main chehre pe likhke laya hun..

Tumse kya mangu..tum khud hi samajh lo

Maula maula maula mere maula

Darare darare hain maathe pe maula
Marammad mukaddar ki kardo maula

Jo bhi tera dar aaya, jhukne jo sar aaya

Mastiyan piye sabko jhumta nazar aaya

Pyaas leke aya tha dariya woh bhar laya
Noor ki baarish mein bheegta sa tar aaya

Tutke bikharna mujhko zaroor aata hai
Par na ibadat wala shaur aata hai
Sajde mein rehne do
Ab kahin na jaunga
Ab jo tumne thukraya, toh sabar na paunga

Maula maula maula mere maula
Darare darare hain maathe pe maula
Marammad mukaddar ki kardo maula

Sar uthake maine toh kitni khwahishen ki thi
Kitte khwab dekhe the, kitni koshishen ki thi
Jab tu ru-ba-ru aya, nazren na mila paya
Sar jhuka ke ek pal mein, maine kya nahi paya

Maula maula maula maula
Maula maula maula mere maula..............

No comments: